Aandhiyon me bhi jaise kuch chirag jala kartey hai,
Utni hi himmat e hausla hum bhi rakha kartey hai,
Manzilon abhi aur dur hai hamari Manzil,
Chaand sitarey to raahon me mila kartey hai.
Patriotic Shayari
SHAHEED
YEIN KISNEY KOKHEN LEEL DEE HAMARI MAON KEE,
KYON BHAGAT SINGH JAISA KOI PAIDA HOTA NAHIN.
Ghar Mein Parde Latkau Kyun
Main desh ki khatir apni jaan gawau kyun?
Marne ko jai Bharat main chillau kyun?
Jisse khud ka tan ho ghayal,
Main aise bhi teer chalaun kyun?
Jab badan numaesh hai faishon,
To ghar mein parde latkau kyun?
En bhukho nango ki duniya mein,
Mein bhi vikshit kahlau kyun?
Jab izzat hi lute maa bahino ki,
Uss dharti ke gunn gau kyun?
HUMRAAH mare jinse lakhon,
Phir aise aslaah banu kyun??
Aaj Ka Mera Desh
Ufaq se koi awaaz aayi,
Tere desh men badi tabdeeli aayi,
Jahan aata chawal naapaid hua,
aur bhook ne li hai angdai,
Ghareeb khata tha aadhi roti,
Ab Woh bhi usse chinwai,
Manhgai hans hans kar dole,
Aate ki qeemat aasman se takrai,
Koi game khaile hai adliya ki,
To koi hukumat ke jod tod ki,
Awaam ko yeh sab nahin chahiye,
Do waqt ki roTi ko woh hai roti,
Sab ne aankhen hain band ki,
Kaanon men hamare rooi hai padi,
Dekh kar bhi andhe kahlayen,
Hum awaam ki hai yeh behissi.
Mera Desh
ki ab to desh mera praya sa lagta hai…
thi bazuon me jiski takkat..
vo ab murjhaya sa lagta hai..
hosle hum me bhi hai…
hosle tum me bhi hai..
to kyu pak ka is zamin pe saya ab tak milta hai..
mila lo ab to dost hathon se hath..
ki ab to apna hi khoon dil jalata hai..
poochti hai vatan ki mitti tanhaion me..
ki kyu tujhe zamin par khof ka saya lagta hai..
ya to tu nahi kabil kisi mitti k..
ya tu apni hi maut ka marra lagta hai..
kasmir ki vo baat karte hai..
jo taz humara hai…
ki khoon ki holi khelo chahe ya bano gandhi k bandar..
hume to apna vatan sambhalna hai..
tum ho ya na ho to bhi kya…
mitti se paida hue,hume mitti me mil janna hai..
Jo Ek Galti Karay
Jo Ek Galti Karay Woh Anjan
Jo 2 Galti Karay Woh Nadan
Jo 3 Galti Karay Woh Shaitan
Jo Galtion Pay Galti Karay Woh Pakistan
Jo Har Galti Maaf Karay Woh Hindustan
Hasinaao Me Kya Rakha Hai
Tairna Hai To Samander Me Tairo,
Nadi Naalo Me Kya Rakha Hai,
Tairna Hai To Samander Me Tairo,
Nadi Naalo Me Kya Rakha Hai,
PYAAR Karna Hai To VATAN Se Karo,
In Hasinaao Me Kya Rakha Hai.
Sarfarosho
mit ti nahi mitane se fanah hone ki khwaishein
jhukati nahin jhukane se sarfarosho ki kainaitein
aye hind tujhpe hai kurban katra katra is khoon ka
jismo jaan kya chiz hai hum layein hain nazrana-e-rooh tere vaast
Watane mahobbat
Watane mahobbat main meri jaan ham kurbaan ho jaaye,
Aye mere watan tujh par meri jaan fanaah ho jaaye.