Category: Love Shayari

Pyaar sacha ho

Pyaar sacha ho toh waqt ruk jata hai
Asman lakh uncha ho magar jhuk jata hai
Pyaar mein duniya lakh bane rukawat
agar hum-safar sacha ho toh khuda bhi jhuk jata hai


aap jaise yaar par jaan kurban

Pyaar mein maut se darta kaun hai
yeh toh ho jata hai karta kaun hai
aap jaise yaar par jaan kurban
aur aap puchhte hain, aap pe marta kaun hai


aapka pyaar hai jaan hamari

Ankh se gira aansu koi utha nahi sakta
kismat mein likha koi mita nahi sakta
aapka pyaar hai jaan hamari
aur hamari jaan ko hamse koi chura nahi sakta

Ab aur jeene ki hasrat nahi

Ab aur jeene ki hasrat nahi
ab to sirf maut ka intizar hai
dil tod diya apno ne
ab to maut se pyaar hai

Intazaar

Dost, dil hi dil me unhe pyar karte hain
Chupke se yeh izhaar karte hai
Namumkin hai jin raahon se unka aana
un raahon pe bhi unka intazaar karte hain

Tadap

Tadap ke dekh kisi ke chahat mein
to pata chale ki intazaar kya hota hai
Tadap ke dekh kisi ke chahat mein
to pata chale ki intazaar kya hota hai
yunhi mil jaye koi bina tadpe
to kaise pata chale ki pyar kya hota

Switch to our mobile site