Category: Miscellaneous Shayari

Galib

hawa mein bindas ud rahe the galib
hawa mein bethab ud rahe the galib
hawa mein aazad ud rahe the galib
phir kya huya ruk gayi hawa aur gir gaye galib


Zindagi Hai Nadan

Zindagi Hai Nadan Isliye Chup Hoon
Dard hi Dard Hai Subah Shamm Isliye Chup Hoon
Keh To Du Zamane se Dastan Apni
Lekin Usme Ayega Uska Naam Isliye Chup Hoon


tutne ko to bahut kuch tut sakta hain

tutne ko to bahut kuch tut sakta hain
chaahe to har afsaana humse ruth sakta hain
kuch yun dekhi humne duniya ki haqeeqat
ye waqt mausam ki tarah na jaane kabhi bhi badal sakta hai

Log

Na hausle Na iraade badal rahe hain log
Thake-Thake se hain fir bhi chal rahe hain log
Na wafa Na quirdar Na usool koi
Na jane kaun se Sanche mein dhal rahe hain log

Itna masoom

Itna masoom na ban aye Noor is jamane me
Tere fasane muhabbat ke har roz bayan hote hain
Milti to har roz hai khabar garam pyali ke saath
Jab kuch nind se bedar to kuch soye hote hain

Khuda Humko Aisi Khudaayi Na De

Khuda Humko Aisi Khudaayi Na De
Ke Apne Siwa Kuchh Dikhaayi Na De
Khatawaar Samjhegi Duniya Tujhe
Ke Itni Zyaada Safaayi Na De
Hanso Aaj Itnaa Ke Is Shor Mein
Sada Siskiyon Ki Sunaayi Na De
Abhi To Badan Mein Lahoo Hai Bahot
Kalam Chheen Le Roshnaayi Na De
Khuda Aise Ehsaas Ka Naam Hai
Rahe Saamne Aur Dikhaayi Na De

ye to malum hai

ye to malum hai ke tumhe paa na sakenge
tumhara naam duniya ke saamne la na sakenge
jaldi aa jaao ke waqt rukhsat ka hai
tumhe dekhe bina duniya se ja na sakenge